Welcome to The Biggest Web Site On Black Magic & kala jadu Amliyat Ki Duniya !

Welcome to The Biggest Web Site On Black Magic & kala jadu Amliyat Ki Duniya !
Showing posts with label Irtikaz-e-tawajjah. Show all posts
Showing posts with label Irtikaz-e-tawajjah. Show all posts

ROOHANI DUNIYA OR BEDARI BATNI AANKH

ROOHANI DUNIYA OR BEDARI BATNI AANKH:

Seedha beth kr reerh ki hadi or gardan ko ik seedh ma kr la.is ka bad ik TOLYA ya koi rooi dar kapra apni aankhoon pr mazbooti sa bandh la.is sa pehla dono kanoo ma bhi rooi dal da. kanoo ma rooi or phir ankhoon pr kapra bandna ka bad samna jo andhera nazar aay is ma dekhna ki koshish kara.

kapra ya tolya bandna ka asal maqsad ankhoon ko kuch time ka liya ghar mutharak karna ha.yani ankhoon ki harkat band ho jay.ankhoon ka black hisa nor palkan na harkat kara.

is exercise ko aap (30) minuts ya (45) minuts kara. wasa aap is ko jitna ziyada karanga utna hi ziyada faida ho ga.

is ka sath sath kam neend kara. yani apni neend sa thora si kam neend kara.

INSHA'ALLAH TAALAH chand din ka andar andar aap ki batni aankh bedar ho jay gi.

or aap ki roonahi shakhsiyat sa mulaqat ka silsala shooroo ho jay ga.


ap ki ANBIYA KARAM , OLIYA KARAM , HAZRAT KHIZAR alyhisalam, or MALAIQAT sa aap ki mulaqat sharoo ho jay gi.

 

                                            ANKHOON KA IK RAZ...!


humari ankh ka ik raz ya ha ka jab humari ankh jhapakti ha to huma image pohonchati ha.mgr hum samajta ha ka hamari ankh musalsal dakh rahi ha.jab hum ik cheez ko musalsal dekhta ha to wo cheez humari ankh sa ghayab ho jati ha.

is liya ab  ma aap ko ik wo bat mukhtasar tor pr batata hoon. jis sa sirf OLIYA KARAM ka ilawa koi nahi janta.

wo yeh ha ka humari aankha ka BLACK part or palak jab ghar muhtarak ho jay yani harkat na kara to is tarha humari aankh jo dakhti ha to wo humari rooh ki aankh dakhti ha.or rooh ki aankh hr ghayab cheez ko dakh sakti ha.

is theory ko mad-e-nazr rakh kr ma na yeh exercise batai ha. yeh ik bht qabil-e-qadr cheez ha.agr aap ghor kara.

MASHQ ISM JALALAHU ALLAH مشق اِسم اللہ جَلَّ جَلالَہُ


                   مشق اِسم اللہ جَلَّ جَلالَہُ                    


Zehan mei inteshar ho aur kheyal jam na sakay to pehley irtekaz-e-tawajjoh ki koi aala mashq kar lena zaroori hai un mashqon mei se shamma beeni , tasht beeni waghairah ki mashqen nehayat umdah hen aur in mei se kisi aik mashq ka amil muntashir khayalat ko samet kar aik nukta per markooz kar sakta hai , magar sab se aala mashq ism jalala "allah" ki mashq hai.

Lafz "Allah" kisi katib se khush'khat sunehri seyahee se likhwa kar apnay samnay rakh den aur intehayae yaksooye se us kaghaz per nazar jama den aankh jhapakna is amal mei mana hai is liay musalsal tik'tiki bandh kar dekhen jab aankhen thak jayen to amal band kar den is doran agar ism jalalahu "Allah" ka wird bhi karen to sonay per suhagay ka kam de ga.

chand youm ki mashq se aap tik'tiki bandh kar baghair aankh jhapkaye aasani se (20 se 30) tak dekh saken ge is k bad apnay dil ko samnay rakhen aur tasawwurati aankhon se dil per ism "Allah" ko naqsh karen jab aap ism jalalahu "Allah" ko (20) mint tak dekh saken ge to aap ko kisi mazeed mashq ki zaroorat na rahey ge aur aap fil'waqiya aik "sef-e-bar'aan"  ban chukay hon ge.

aap mei noorani maqnateesi quwwat bhar jaye ge log kha'makha aap ki taraf kheech aayen geY, kamal ki taskheer e khalq ho ge aap ka dil gunaho ki taraf raghib na ho ga Allah ka khof aap k dil per chaa jaye ga aur aap haqeeqat mei fil'waqiya Allah waley ban jayen ge.

MASHQ SHAMMA BEENI مشق شمع بینی


Soofiya e kiram "habs-e-dam" mei zikr nafi wa asbat kartay hen aur kehtay hen k aisey ba'kamal buzurg bhi guzrey hen jo habs-e-dam ki halat mei (200), (200) bar "laa ilaha ill'allah" ka vird kiya kartay thay , sans ki is mashq k bad soofiya kiram nay bohat see reyazaten ejad ki hen un sab ka maqsad sirf aik he hai k mutafarriq kheyali ka silsila toot jaye aur insani zehan aik nuqta per jam jaye. Jab insan "one pointed" ho jaye to us ki quvvat-e-basarat aur takhayyul ko insan to insan hevaan(janwar) bhi bardasht na kar saken.

Zehan ko namaz mei gharq kar diya jaye to namaz , namaz ho jaye aur ebadat , ebadat kehlaye yaksooye k beghair bhi koi namaz hai k zehan hazaron kheyalon mei uljha hoa hai aur zuban totay ki tarah namaz rahe hai, mei nay is mashq k bad aksar namazen is tarah parrhi hen k pori namaz band aankho k samnay likhi hoyee nazar aati hai aur mei intehayee khuloos se isey parrhta houn  bas yeh hai insan k aik nukta per markooz honay ka asar.

Irtekaz-e-tawajjoh ki bohat see mashqen hen magar sab se aeham aur nehayat mufeed mashq hai , "shamma beeni"  sharaye nukta nigah se mei nahi keh sakta k ulama e kiram  "shamma beeni"  ko kufar kahen ge ya shirk,  magar zehan ko 
"one pointed" karnay k liay is se behter mashq aur na koi hai aur na ho ge.

Fursat ka waqt talash kar k kisi aise kamray mei chaly jayen jahan kisi qisam ka shor na ho , kisi k aany ka khatka na ho  kamra band kar den waqt rat ka ho to behter hai sardi ho to koi chader oper le len agar garmi ho to pas-e-pusht bijli ka pankha laga den magar pankha itna tez bhi na ho k shamma bujh jaye kisi qisam ka andesha na ho  koi fikr na ho  kahen bahar janay ki jaldi na ho  kisi meharban ka intezar na ho  gharz yeh k  sab andeshay door kar k kamra (room) mei tasalli se beth jayen jis bhi position mei aasani mehsoos ho usi position mei beth jayen.

Aik shamma ya mom'batti jala len (mom'batti sab se behter hai) apni aankhon k barabar onchaye per rakh den aur us maqam ka andazah pehlay se kar liya geya ho  shamma aap se zeyadah se zeyadah (4) feet door ho , ab zehan se sab kheyalat ko yak'dam khali kar den bilkul khali zehan ho jayen har qisam k tafakkurat se door aur kheyalat se door.

Aik ya do bar habs-e-dam kar k mom'batti ki loh per aankhen garr den  aankhen thakti hen to thaknay den nak se pani behta hai to behnay den aankhon mei chubhan hoti hai to honay den magar loh se aankhen hargiz na hataen aankhen hargiz na jhapken  bas mom'batti ki loh per aankhen jami rahen aap ka kheyal mom'batti ki taraf ho aap ko is shua'a k siwa aur kisi bat ka vehm-o-kheyal tak na ho jis qadar aasani se mashq jari rakh saken jari rakh kar yak'dam aankhen band kar den (5) mint aankhen band kar k khol den mom'batti ko bujha kar bahar aa jayen  sard pani se aankhon ko cheentay maren aur khamoshi se bister per let jayen aur so jayen yeh mashq us waqt karen jab k aap rat k tamam kamo se farigh ho chukay hon aur is mashq k bad aap ko foran he so jana ho.

Chand youm ki mashq k bad aap ko mom'batti ki loh se mohabbat ho jaye ge mutafarriq-ul-kheyali ka silsila toot jaye ga aur kafi der tak mom'batti ki loh se aankhen larranay k bawajood aap k sar mei dard na ho ga aankhon mei chubhan na ho ge nak se pani na bahey ga aap ko mom'batti ki loh mei ajeeb-o-ghareeb mushahidat hon ge kabhi janwar nazar aayen ge khas kar aik sher chand dino k bad nazar aaya karta hai us k elawah mom'batti k jaltay hoay dhagay mei mujhay aik khoobsurat aurat nazar aaya karti hai aur aik sunsan sehraa , gharz yeh k isi qisam k manazir is loh mei dikhaye detay hen is qisam k nazaron mei meray apnay tasawwur ka koi dakhal na tha bal k jo kuch bhi nazar aaya to qudrati tor pe nazar aaya ya meray la'shaoor ki teh mei chupi hoyee kisi bat ka aks tha.

Shamma beeni ki mashq kam'az'kam (2) mah tak jari rakhna zaroori hai is mashq k mukammal honay ki daleel yeh hai k aap (45) mint tak shamma ki loh se aankhen larranay se aasani se dekh saken is mashq ki takmeel ka wazeh saboot yeh bhi hai k agar aap kisi soye hoay kuttay ya billi ko ghour se tik'tiki bandh kar dekhen to woh harr barra kar uth bethay bal k peechay lag jaye  ya aagay jatay hoay kisi shakhs k pas-e-gardan aankhen garr den to woh shakhs peechay murr kar dekhnay per majboor ho jaye.

Tawajjoh ka aik nukta per markooz hona ta'ajjub khez natayej lata hai  "shamma beeni" ki (2) qismen hen aik zahiri aur dosri batini.

Zahiri shamma beeni ka zikr to ho chuka , 
"batini shamma beeni" yeh hai k aankhen band kar k tasawwur k aalam mei apnay dil per shamma jalayen hoo ba hoo shamma, usi tarah loh ,usi tarah roshni jhilmilahat, koshish aur tawatur mashq se is tasawwur mei itni pukhtagi peda karen k agar aap mutwatar aadha ghanta tak yeh tasawwur karen to tasawwur mei shakistagi na ho aur tasawwur bilkul barqarar rahay jab yeh aalam ho jaye to samajh lijeay k aap ki batini aankh bedar ho chuki hai us batini aankh se aap door bethay hoay rishta'daron ko asal halat mei dekh saktay hen , logo k zameer se waqif ho saktay hen , kashf-e-qalab jari ho sakta hai, aanay walay waqiyat ka qabal'az waqt pata chal sakta hai , har sawal ka sahee jawab aap aankhen band kar k de saktay hen goya aap per alqaye ghaibi ho ga aur jo bilkul durust ho ga aur is mashq mei bhi ta'ajjub khez baton ka inkishaf hota hai aur jahan tak meri research ka talluq hai yeh inkishafat 100% durust hotay hen goya kashf hasil ho jata hai aur agar aap is tasawwur k sath sath "ism jalal Allah" ka vird bhi karen to shamma ka yeh noor sare jism mei noor ban kar phel jaye ga.

MASHQ HABS-E-DAM مشق حبس دم

    مشق حبسِ دم     

Insani zehan hazaron kheyalon ki dal'dal mei phansa hoa hai talazum kheyal ka yeh aalam hai k "allah" ki namaz mei bhi beeson kheyal ubhartay hen agar aap apnay zehan ki yeh gard jharr den aur mutafarriq-ul-kheyal honay ki bjaye aik nukta per apnay kheyal ko markooz kar den to aap yaqeenan mafooq hasti ban jayen jab aap ki tawajjoh taqseem na ho sakay jab aap ka kheyal aik nukta per jam jaye to aap mei inteha ki quvvat-e-maqnateesiyat aa jaye ge.

Tawajjoh ko sametnay k liay aur aik nukta per lanay k liay sab se pehlay aap ko sans ki mashq krna lazim hai sans ki mashqen mukhtalif hen magar un sab mei se behter hai, "habs-e-dam" .


Aap koi fursat ka waqt talash kar k shumal ki tarf moun kar k is halat mei beth jayen k aap k badan ko koi takleef mehsoos na ho , seena tan len , moun band kar den, aankhen band kar k aik lamba magar aayehista  aayehista sans len moun k zariay nahi bal k nak k zariay aur jab aap k pheprray hawa se bhar jayen to sans ko rok den is had tak roken jitna  aap aasani se rok saktay hen aur is k bad aayehista aayehista sans nak k nathnay se bahar nikal den  lamha bhar k liay sukoon le len phir isi tarah "habs-e-dam" karen.


Yeh mashq ibteda mei (10) mint se shuroo karen aur zeyadah se zeyadah aik (1) ghantay tak yeh mashq kiya karen aur koshish yeh kiya karen k aap zeyadah der tak sans ko rok saken zeyadah der tak "habs-e-dam" karnay mei aap ko woh maza aaye ga k aap ka dil chahay ga k sans aaye he nahi.


Habs-e-dam k bohat se fawayed hen , dimagh roshan ho jata hai , basarat tez ho jati hai, asaab mei quvvat aa jati hai, hafiza barrh jata hai, daayemi nazla-o-zukam ruk jata hai, pheprray k aksar amraz ka yeh aik aala tareen roohani elaj hai, qabz khul jati hai, bhook barrh jati hai aur insani zehan aik nuqta per markooz honay k liay musta'ad ho jata hai.