Amliyat For Different Diseases (remedy & cure for diseases):
These rituals Amliyat For diseases are used to cure different types of diseases spiritually and has been used since centuries,so i have selected the best and the most used remedies for all the people to have benefit from them.
1.Amliyat For Eyesight Weakness With Urdu/Hindi Explanation:
Amal For Nazar ki kamzori key liay:
Yeh S.yousuf aayat (125) mrtba parrh kar awal wa aakhir (11x11) mrtba durood sharif bad namaz-e-Isha 25 ya 27 raaten begher kisi sey bat kiay surma per dam kar key rakh len aur surma ko aab-e-zam'zam sey kharal kar len raat ko sotey waqt 'bismillah' parrh kar pehle daayen aankh(right eye) phir baayen aankh(left eye) mei daalen is amal sey apki nazar ki kamzori door hoge aur apki ainak utar jaaye ge.
2.Amliyat For diseases | For Memory or Hafiza increasing memory:
Yadshat ki kamzori ka rohani ilaj:
yadasht ki kamzori key liay Amliyat For diseases mera aik aazmodah amal hey,mera aik shagird kund zehan tha jo cheez yad karta tha bhool jata tha iski mother ney iskey liay yeh amal kiya aur uski yadasht bohat tez ho gaye jis bache ki yadasht kamzor ho uskey liay bhi yeh amal kiya jaaye to bacha laayeq ban jaaye ga.
تِلْکَ حُدُوْدُ اللہِ وَمَنْ یُّطِعِ اللہَ وَرَسُوْلَہٗ یُدْخِلْہُ جَنّٰتٍ تَجْرِیْ مِنْ تَحْتِہَا الْاَنْہٰرُ خٰلِدِیْنَ فِیْہَا وَذٰلِکَ الْفَوْزُ الْعَظِیْمُ ﴿النسائ13﴾ تک۔ ایک سو اکیس مرتبہ ۔
Amal Wazifa for Weak Memory:
Allah Pak key asma ka aik nayab amal agar hafiza bohat weak ho geya hey koi bhi cheez yad nahi rehti bhool jati hey to yeh amal wazifa hamara bohat mujrrab hey jis ney bhi yeh amal parrha uski yadasht(memory) Allah key fazal sey bohat tez ho gaye jo student hazrat hen unkey liay best amal for weak memory hey.
3.Amaliyat For Sugar or Diabetes Patients:
100% Effective Amal for Sugar Patient:
Agar kisi mard ya aurat ko sugar ho aur woh sugar kitni he purani ho ya sugar ki wajah sey zakham bigarr geya ho doctor kehtey hon key jisam ka mutasirah hissa katna hoga ya blood sugar ho woh hazrat rozana subah khali pet "Kanwar gondal"(کنوارگندل یا گھیگوار) ka goda aadh chatank khaa len oper sey pani pi saktey hen iskey sath mareez khud ya koi dosra fard isi goday per khaney sey pehle fajar ki (2) sunnat ada kar key phir farz ada kar key (11) mrtba drud sharif parh key (101) mrtba (بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ یَاسَلَامُ) parh kar dam karen phir woh goda sakht sey sakht sugar key patient ko den oper sey pani len InshaAllah (41) din key ander ander 100% sugar jese mozi marz sey mukammal shifa hoge.
Note: parhez zaroori hey , gosht(meat) har qisam ka,doodh aur doodh sey bani tamam cheezen band hen.
4.Cure for depression and anxiety:
Depression Awr Zehni Parishani:
(بسمہ اللہ ِانا ﷲ وانا الیہ راجعون یا جامعُ یا مُعید)
Duniya ka koi bhi dukh takleef ya zehni pareshani ho jisam key lehaz sey, karobar key lehaz sey, ghar key lehaz sey koi masla ho,Amliyat For diseases amal (101) mrtba subah wa sham parrhen ya har namaz key bad parrh kar roti per dam karen aur parindon(birds) ko daalen amal mei taqat peda hoge amal ki muddat (40,70,90) din hey females khaas dino mei bhi parh sakti hen.InshaAllah depression aur zehni pareshani sey nijat hoge.
5.Hepatitis C Se Hifazat Ke Amliyat:
Hepatitis C ka Kamyab Rohani ilaj:
Agar doctor Hepatitis C key patient ko la'ilaj karar den to iskey liay aik aasan amal thorra sa gurr ley kar (2) Makhiya hatheli per rakhen aur ragrren itna ragrren key hatheli per pighalna shuroo ho jaaye ga aur makhiya ismei mix ho jaayen ge,achi tarah mix kr key (3) goliyan bana len aur aik waqt mei teeno goliya mareez ko khila den subah nahar moun pani key sath khaayen iske bad 15 din sirf ubli(boil) ki hoye cheezen khani hen sath jawar ki roti khani hey,doodh,dahi,mirch masaala aur tali hoyee cheezon sey mukamal parhez karni hey, iskey bad test krwa len InshaAllah hepatitis clear aaye ga.
6.Amliyat For diseases | Amliyat For Cure High Blood Pressure:
High Blood Pressure Ke Liye Asan Ilaj:
Blood Pressure aik khofnak bemaari hey aksar log is bemari mei ghussa ka shikar rehtey hen is marz sey nijat key liay kasrat sey aap yeh aayat parrhen iskey mafhoom ko samjhen وَالْکٰظِمِیْنَ الْغَیْظَ وَالْعَافِیْنَ عَنِ النَّاسِ(آل عمران 133) مفہوم: جوغصے کو پی جاتے ہیں اور دوسروں کے قصور معاف کردیتے ہیں‘ yeh aayat agar pori tawajjah key sath (100) mrtba parrhen aur pani per dam kar key pee len to shifa hoge,chaltey phirtey' uthtey bethtay yeh aayat parrhen,Allah pak ney har bemari ka ilaj quran pak mei diay hey agar baghor mutalia karen to koi bemari hamla aawar nahi honge.
No comments:
Post a Comment