Soofiya e kiram "habs-e-dam" mei zikr nafi wa asbat kartay hen aur kehtay hen k aisey ba'kamal buzurg bhi guzrey hen jo habs-e-dam ki halat mei (200), (200) bar "laa ilaha ill'allah" ka vird kiya kartay thay , sans ki is mashq k bad soofiya kiram nay bohat see reyazaten ejad ki hen un sab ka maqsad sirf aik he hai k mutafarriq kheyali ka silsila toot jaye aur insani zehan aik nuqta per jam jaye. Jab insan "one pointed" ho jaye to us ki quvvat-e-basarat aur takhayyul ko insan to insan hevaan(janwar) bhi bardasht na kar saken.
Zehan ko namaz mei gharq kar diya jaye to namaz , namaz ho jaye aur ebadat , ebadat kehlaye yaksooye k beghair bhi koi namaz hai k zehan hazaron kheyalon mei uljha hoa hai aur zuban totay ki tarah namaz rahe hai, mei nay is mashq k bad aksar namazen is tarah parrhi hen k pori namaz band aankho k samnay likhi hoyee nazar aati hai aur mei intehayee khuloos se isey parrhta houn bas yeh hai insan k aik nukta per markooz honay ka asar.
Irtekaz-e-tawajjoh ki bohat see mashqen hen magar sab se aeham aur nehayat mufeed mashq hai , "shamma beeni" sharaye nukta nigah se mei nahi keh sakta k ulama e kiram "shamma beeni" ko kufar kahen ge ya shirk, magar zehan ko
"one pointed" karnay k liay is se behter mashq aur na koi hai aur na ho ge.
Fursat ka waqt talash kar k kisi aise kamray mei chaly jayen jahan kisi qisam ka shor na ho , kisi k aany ka khatka na ho kamra band kar den waqt rat ka ho to behter hai sardi ho to koi chader oper le len agar garmi ho to pas-e-pusht bijli ka pankha laga den magar pankha itna tez bhi na ho k shamma bujh jaye kisi qisam ka andesha na ho koi fikr na ho kahen bahar janay ki jaldi na ho kisi meharban ka intezar na ho gharz yeh k sab andeshay door kar k kamra (room) mei tasalli se beth jayen jis bhi position mei aasani mehsoos ho usi position mei beth jayen.
Aik shamma ya mom'batti jala len (mom'batti sab se behter hai) apni aankhon k barabar onchaye per rakh den aur us maqam ka andazah pehlay se kar liya geya ho shamma aap se zeyadah se zeyadah (4) feet door ho , ab zehan se sab kheyalat ko yak'dam khali kar den bilkul khali zehan ho jayen har qisam k tafakkurat se door aur kheyalat se door.
Aik ya do bar habs-e-dam kar k mom'batti ki loh per aankhen garr den aankhen thakti hen to thaknay den nak se pani behta hai to behnay den aankhon mei chubhan hoti hai to honay den magar loh se aankhen hargiz na hataen aankhen hargiz na jhapken bas mom'batti ki loh per aankhen jami rahen aap ka kheyal mom'batti ki taraf ho aap ko is shua'a k siwa aur kisi bat ka vehm-o-kheyal tak na ho jis qadar aasani se mashq jari rakh saken jari rakh kar yak'dam aankhen band kar den (5) mint aankhen band kar k khol den mom'batti ko bujha kar bahar aa jayen sard pani se aankhon ko cheentay maren aur khamoshi se bister per let jayen aur so jayen yeh mashq us waqt karen jab k aap rat k tamam kamo se farigh ho chukay hon aur is mashq k bad aap ko foran he so jana ho.
Chand youm ki mashq k bad aap ko mom'batti ki loh se mohabbat ho jaye ge mutafarriq-ul-kheyali ka silsila toot jaye ga aur kafi der tak mom'batti ki loh se aankhen larranay k bawajood aap k sar mei dard na ho ga aankhon mei chubhan na ho ge nak se pani na bahey ga aap ko mom'batti ki loh mei ajeeb-o-ghareeb mushahidat hon ge kabhi janwar nazar aayen ge khas kar aik sher chand dino k bad nazar aaya karta hai us k elawah mom'batti k jaltay hoay dhagay mei mujhay aik khoobsurat aurat nazar aaya karti hai aur aik sunsan sehraa , gharz yeh k isi qisam k manazir is loh mei dikhaye detay hen is qisam k nazaron mei meray apnay tasawwur ka koi dakhal na tha bal k jo kuch bhi nazar aaya to qudrati tor pe nazar aaya ya meray la'shaoor ki teh mei chupi hoyee kisi bat ka aks tha.
Shamma beeni ki mashq kam'az'kam (2) mah tak jari rakhna zaroori hai is mashq k mukammal honay ki daleel yeh hai k aap (45) mint tak shamma ki loh se aankhen larranay se aasani se dekh saken is mashq ki takmeel ka wazeh saboot yeh bhi hai k agar aap kisi soye hoay kuttay ya billi ko ghour se tik'tiki bandh kar dekhen to woh harr barra kar uth bethay bal k peechay lag jaye ya aagay jatay hoay kisi shakhs k pas-e-gardan aankhen garr den to woh shakhs peechay murr kar dekhnay per majboor ho jaye.
Tawajjoh ka aik nukta per markooz hona ta'ajjub khez natayej lata hai "shamma beeni" ki (2) qismen hen aik zahiri aur dosri batini.
Zahiri shamma beeni ka zikr to ho chuka ,
"batini shamma beeni" yeh hai k aankhen band kar k tasawwur k aalam mei apnay dil per shamma jalayen hoo ba hoo shamma, usi tarah loh ,usi tarah roshni jhilmilahat, koshish aur tawatur mashq se is tasawwur mei itni pukhtagi peda karen k agar aap mutwatar aadha ghanta tak yeh tasawwur karen to tasawwur mei shakistagi na ho aur tasawwur bilkul barqarar rahay jab yeh aalam ho jaye to samajh lijeay k aap ki batini aankh bedar ho chuki hai us batini aankh se aap door bethay hoay rishta'daron ko asal halat mei dekh saktay hen , logo k zameer se waqif ho saktay hen , kashf-e-qalab jari ho sakta hai, aanay walay waqiyat ka qabal'az waqt pata chal sakta hai , har sawal ka sahee jawab aap aankhen band kar k de saktay hen goya aap per alqaye ghaibi ho ga aur jo bilkul durust ho ga aur is mashq mei bhi ta'ajjub khez baton ka inkishaf hota hai aur jahan tak meri research ka talluq hai yeh inkishafat 100% durust hotay hen goya kashf hasil ho jata hai aur agar aap is tasawwur k sath sath "ism jalal Allah" ka vird bhi karen to shamma ka yeh noor sare jism mei noor ban kar phel jaye ga.
No comments:
Post a Comment