مشق اِسم اللہ جَلَّ جَلالَہُ
Zehan mei inteshar ho aur kheyal jam na sakay to pehley
irtekaz-e-tawajjoh ki koi aala mashq kar lena zaroori hai un mashqon mei se
shamma beeni , tasht beeni waghairah ki mashqen nehayat umdah hen aur in mei se
kisi aik mashq ka amil muntashir khayalat ko samet kar aik nukta per markooz
kar sakta hai , magar sab se aala mashq ism jalala "allah" ki mashq
hai.
Lafz "Allah" kisi katib se
khush'khat sunehri seyahee se likhwa kar apnay samnay rakh den aur intehayae
yaksooye se us kaghaz per nazar jama den aankh jhapakna is amal mei mana hai is
liay musalsal tik'tiki bandh kar dekhen jab aankhen thak jayen to amal band kar
den is doran agar ism jalalahu "Allah" ka wird bhi karen to sonay per
suhagay ka kam de ga.
chand youm ki mashq se aap tik'tiki bandh kar baghair
aankh jhapkaye aasani se (20 se 30) tak dekh saken ge is k bad apnay dil ko
samnay rakhen aur tasawwurati aankhon se dil per ism "Allah" ko naqsh
karen jab aap ism jalalahu "Allah" ko (20) mint tak dekh saken ge to
aap ko kisi mazeed mashq ki zaroorat na rahey ge aur aap fil'waqiya aik
"sef-e-bar'aan" ban chukay hon ge.
aap mei noorani maqnateesi
quwwat bhar jaye ge log kha'makha aap ki taraf kheech aayen geY, kamal ki
taskheer e khalq ho ge aap ka dil gunaho ki taraf raghib na ho ga Allah ka khof
aap k dil per chaa jaye ga aur aap haqeeqat mei fil'waqiya Allah waley ban jayen ge.
No comments:
Post a Comment