Taweez | Taweezat For All Your Problems:
Taweez kya hey | what is taweez:
Jese hum ney pehley bataya key amliyat key zariay sey aap ki har problem solve ho jati hey hum amal kartey hen apni problems ko solve karney key liay wese he aap taveez or taweezat key zariay sey bhi aap ki har problem ko solve kiya jaa sakta hey,bohat sey log aisey hen jinko nahi pata Taweez kya hey(what is taweez);taweez aik rohani duniya ka hissa hey bohat sey log isko mantey hen aur bohat sey yaqeen nahi rakhtey lekin inka asar aankho sey ojhal hota hey yani dekhai nahi deta magar tawez asar krta hey taweez ko wohi log likhtey hen jin ko adad,huroof,najoom key ilm sey aagahi ho aur woh rohani amliyat key bhi mahir hon bohat sey log begher ilm key taveez likh detey hen unko saheeh tareeqa nahi aata isi liay unka tawiz kam nahi krta taweez ko aap kisi book sey parrh kar likhna drust nahi yeh aik Ilm hey jisey seekhna hota bina ilm-e-taweez aap ko tawiz likhnay ka koi fayedah nahi hoga ya aap kisi mahir amil sey apney liay taweezat likhwa saktey hen.
Taweez ka Zikar Quran | Taweez in islam:
Hamarey muashrey mei bohat sey log aisey hen jo taweez,ganda karney walo ko nahi mantey unka yaqeen nahi hota woh aise cheezon ko bekar samjahtey hen jab key in islam taweez ki haqeqat mojud hey jo log islamic taleemat sey mukammal aagahi nahi rakhtey wohi taweezat per believe nahi kartey taveez asar krta hey aur iska zikar Quran mei bhi hey,S.Falaq
ab yeh aayat per ghour karen iski tashreeh kiya jaaye to Taweez ka zikar Quran mei milta hey Surah Falaq ki aayat mei panah mangi gaye hey un logo sey jo taveez ,ganda ,jado ,tona kartey hen isliay yeh aayat bhi aik tareeqa sey taweez ko mentioned kar rahe hey complete word nahi hey magar ishara usi taraf hey aur panah mangi gaye hey in cheezon sey iska matlab saf hoa yeh cheezen asar rakhti hen is ayat ka bataney ka maqsad taweezat asar kartey hen jo key bohat sey log nahi mantey hen.
Taweez ki kisam |types of taveez:
Taweez (4) kisam(types) ka hota hey aatishi,badi,aabi,khaki, jis tarah huroof mei aatishi badi aabi khaki hotey hen isi tarah taweezo mei bhi yehe kismen hoti hen.
1.aatishi taweez: yeh kisam key tawez ko aag mei jalaay jata hey ya aag key neachey dafan kartey hen dafan isliay kartey hen key aag ki garmi taveez ko pohnchti rahey or woh apna asar dekhata rahey iskey liay yeh tareeqa hey taweez ko aik theekri key oper dhaagey sey baandh den takey tawiz ko hararat pohnchti rahey taweezat ko aag sey itni door dafan krtey hen key jaley naa aatishi taweezat ki battiya bnai jati hen aur unko chirgh mei batti bana kar jalaya jata hey aur pore taveez ko bhi aag mei jalaya jaata hey.
2.Badi taweez: kisi khushboo dar cheez per dam kr key sooghatey hen ya phalo , ya kisi meethi cheez key oper dam kar key khilatey hen ya taweez likh kar darakht ya kisi oonchi jagah latkatey hen nehas taweezat ko kisi kante dar ya karrwe phal key darakht ke sath latkatey hen jese kikkar ka darakht ya neem ka darakht,baz taweezat hathli per likh kar bhi matloob ko dekhatey hen badi taweez oonchi jagah beth kar likhte hen.
3.khaki taweez: khaki taweez likh kar zameen mei dabaye jatey hen ya kisi bhari pathar key nechay dabate hen ya kisi wazni cheez key nechay rakhtey hen ya matloob ki guzar'gah mei ya chorahe mei ya qabristan ya phir ghar mei dafan kartey hen talib apney baazu per bandh sakta hey ya matloob key paao ki matti ley kar dam kiya jaata hey.
- 4.aabi taweez: kagahz(paper) per likh kar pani mei mix kar key matloob ko pilatey hen ya kisi cheeni ki plate per likh pilaaye jatey hen ya phir pani key kinarey dafan kiay jatey hen ya pani mei baha detey hen pani key qareeb dafan karney ka tareeqa yeh hota hey key matti ka brtan len usmei taveez ko rakh kar oper sey achi tarh bandh kr den pani ander na jaaye sirf nami jaye aabi taweez ko nadi,dariya ya samunder mei bahaya ja sakta hey.
Taweezat Dushman (destruction of enemy):
Dushman sey mehfooz rehney ka taveez:
jab dushman key shar aur fitney zeyadah barrhen to inkey nuqsan sey mehfooz rehney key liay yeh (3) taveez likh kar aik naqsh galay mei pehan len aur dosrey dono taweez likh kar aik daayen bazu per aur aik baayen bazu per bandh liya karen jab tak dushman qudrat khuda apney anjam ko pohnach jaayen ya sulah safai ho jaaye baayen aur daayen bazu ka taveez ult pult kartey rahen.
Dushman ko jismani nuqsan pohnchaney ka tawiz:
Matti key bartan ya tukrra jis per pani naa parra ho yeh tawiz likh kar driya mei baha den ya aur tweeze patti per likh kar woh shakhs khud chaba kar dushman ki rasta mei daal dey chand hi roz mei dushman tarah tarah ki takaleef mei mubtila ho jaaye ga yeh amal qamar dar aqrab mei karen to tez asar hoga yeh amal khas waqt karen jab dushman key shar sey bachna mushkil ho jaaye najayez karney wala apney nuqsan ka zimmadar khud hoga.
Taweez Husool e Dolat wa rizq | for wealth-money:
1.yeh taweez ko chiragh per kandah krwa kar arooj mah mei amal shuroo karen aur chiragh ki batti achay ghee sey roshan karen aur drood e hajat ya drood e taj (1) bar ya (7) bar parrh key iskey bad "bismillah shareef" (786) mrtba parrh key iskey bad yeh taveez (2) bar likhey aik ko aatey ki goli mei bana kar driya mei daal dey aur aik ko apney pas rakh ley isi tarah agley din (3) likhey pehle dono dariya mei baha dey aakhri wala pas rakhey rozana aik barrhata jaaye (19) din likhey aur taweezat jama kar ley insab ko aik jagah mom jama kr key galey mei daal len aur jab tak hasb-e-mansha kam naa chal jaaye ya mulazmat na mil jaaye har roz (19) naqsh likhtey rahey charagh bhi jalta rahey aur bismillah sharef bhi parhta rahey.
2.Husool e dolat wa rizq key liay yeh amal karey awwal yeh taweezz yakshanba ki pehli sa'at mei likhey aur isi sa'at mei yeh amal karey aur agar yeh naqsh kandah krwaye to chandi per sa'at e shams mei kandah kiya jaaye aur is amal ko yakshanba sa'ate shams mei yani pehle sa'at mei shuroo karen aur drood e taj ya drood e tanjeena (3) bar parrhen iskey bad (3041) mrtba ( سبحانك لا إله إلا أنت يا رب كل شيء ووارثه ورازقه وراحمه سبحانك) aakhir mei drood shareef *(7) mrtba is amal ki had teen chilla tak hey is amal ki shart hey jab yeh amal shuroo karey phir kisi sey izhar naa karey key mei falan amal kar raha hon swaye iskey jisney bataya ya ijazat bakhshi hey aur jo asrat ya fawayed hasil hon isper maghroor naa ho aur hameha pak saf rahey jisam aur libas ko pak saf rakhey.
Taweez For Love | Love Marriage:
Hmarey muashre mei Love aur Love Marriage bohat aam rawaj banta jaa raha hey jisko dekho Love ho geya hey yeh bat haqeeqat hey key Love sey barrh kar kuch nahi magar Love karney ka saheeh tareeqa aur saheeh rukh karna chahiay,kher yeh lamba mozu hey Mohabbat per bat karna yaha theak nahi hum sirf aap key love sey related problems ki baat kartey hen,husband / wife love problems , girlfriend boyfriend love problems in sab key liay hum aapko Taweez For Love dey rahey hen aur jin ki Love Marriage Problems hen unkey liay hum ney Taweez For Love Marriage likhey hen aap ko ijazat aam hey.
Taweez For Love#1: Yeh arooj mah mei shab-e-jumma sey shuroo karen وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ إِدْرِيسَ ۚ إِنَّهُ كَانَ صِدِّيقًا نَّبِيًّا har shab jumma ko (90) mrtba baqi din mei sirf (49) mrtba wird mei rakhey (40) din key bad ekhteyar hey key (49) bar wird mei rakhey ya (31) bar agar (490) bar na parrh saken to in aayat key adad (2776) hen inmei apney name key adad shamil kar key taweez murabba pur karen aur iskey gird yeh aayat likhen aur (49) bar yeh aayat parrh kar (40) roz tak dam kartey rahen agar yeh taveez kandah kara len to behter hey jab tak taveez paas rahey ga har aik fard khuloos wa mohabbat sey pesh aaye ga har shakhs tareef karta hoa jaaye is tawiz ka pani agar dushman ko pila diya jaaye to iskey dil mei bhi aqeedat mohabbat peda ho jaaye.
Taweez For Love#2: yeh taweez mehboob key pehney hoye kaprrey per likh kar charagh mei jalaye aur matloob key name key adad key mutabiq "YA WADOODO" parrhey charagh ki lo matloob key makan ki taraf rakhey awwal wa aakhir drood shareef matloob key name key jitney adad hon utney he roz yeh amal karey aur agar wife apney husband key liay karna ho ya husband ko apni wife key liay ya na'farman olad key liay amal karen to kisi meethi cheez per dam krta rahey aur matloob ko khilaaye yeh amal bohat mujrab hey.
Taweez For Love#3: Baroz Jumerat bad namaz e fajar tuloo-e-aaftab sey pehle apney dono hatho aur paaon key nakhun kaatey aur is taweez mei batti bana kar lapet ley aur new peyaley matti key mei rakh kar jaltey koyeley isper rakhey jab rakh ho jaaye hifazat sey rakhey magar nakhun kaatney sey jalaney tak "YA WADOODO" parrhta rahey zuban naa rukey,phir bad namaz e asar (7) mrtba S.Fatiha parrh kar dam karey aur yeh raakh ko arq-e-ghulab mei mix kar key rakh ley aur matloob ko sharbat mei pila dey mutee wa farma baradar ho bohat mujrrab hey.
Powerful Taweez For Love Husband Wife | Hub ka Taweez: jo koi chahta hey key koi bhi ya uska lover uski taraf rujoo karey ya kisi aurat ka husband naraz hey auar wife chahey mujh sey naraz naa ho ya husband/wife love key liay is taweez ko mushk wa zafran sey likhey aur neachey iskey name matloob aur iski maan ka name likhey aur is taveez ko doodh mei ghol kar isi doodh mei (3) kulli karey aur isi doodh mei daaley aur pila dey jisko rujoo karna ho (3 ya 7) roz tak aisa karey InshaaAllah rujoo hoga, magar pehle taveez ki zakawt (40) roz tak (41) taveez rozana likhna hoga aur aatey ki goli mei band kar key dariya mei daal dey.
Taweez For Love Marriage: yeh amal husband / wife ya love marriage key liay bohat khas hey jin dono mei mohabbat krwani ho un dono key pehney hoye kaprrey ki taqreeban (2 feet) lambi barabar phaar len phir dono ko mila kar dorri bana len phir yeh dua (7) mrtba parrhen aur aik girah lagayen isi tarah (7) mrtba parrh kar (7) girah lagayen jahan falan bn falan likha hey wahan talib aur uski man ka , matloob aur uski maan ka name len iskey bad galey mei bandhen dono mei aise mohabbat hoge log rashk karen gey mujrrab tareen taveez hey.
Taskheer e Mohabbat key amliyat har amliyat ki book mei miltey hen phir bhi aksar ahbab ko is qisam key amliyat ki talash rehti hey har aik chahta hey yeh key tez ba'hadaf amal mil jaaye jab mei is taraf mutawajjah hoa to jo taweez wa amliyat taskheer mohabbat key ab tak mujhey miley har aik ko 100% kamyab paya magar aisa bhi hoa inhen kamyab powerful taweezat amliyat ney baz per asar nahi kiya phir isper justaju ki tahqeeq ki to pata chala hamarey ander ki rohani power 0 hey koi bhi amal ya taveez ka asar karna bohat mushkil ho jata hey jab tak rohaniyat ki power naa miley kisi bhi amal ya tawiz ko kamyab banaey key liay apki rohani power ka bohat aeham kirdar hota hey isi liay hum sey koi apney taveez ya amal ya wazifa key asar naa honey key barey mei pochta hey to hum usko yehe batatey hen aapki rohani power 0 hey sab sey pehle apni rohani power hasil karen roshan zameeri jese quwwat hasil karen phir koi amal ya taweezat karen kabhi nakami nahi ge.
No comments:
Post a Comment