Amil k farayez aur zimmadariyan:
Roohani amliyat ki layen aik
muqaddas aur pakeezah layen hai is layen se dilchaspi rakhnay walay hazrat k
liay zaroori hai k woh is rah per chalne k asool aur qawayed se puri tarah
waqif houn aik amil k ander kya kya khasoosiyat honi chahiay aur usko kin kin
osaaf se behra'wer hona chahiay woh sab is post mei khol diay gaye haen yeh
post aik aayena hai amil ko is aayene mei apni tasweer dekhni chahiay aur agar
aayena sach bol raha ho to uski sachaye ka ehtaram karty hoye apni shakhsiyat
ki nok palak durust karni chahiay aayene per taao khane ki zaroorat nahi
zaroorat apne khad-o-khal ko behter banany ki hai ta k is rah per chal kar awam
wa khawas ki behter khidmat ki ja sakay jab tak amil apne ander woh khasoosiyat
peda nahi kare ga jo buzurgon ka tarka hen tab tak woh is rah mei kamyab nahi
ho sakta aur na kisi k kam aa sakta hai sirf apne mafadat puray kar lena kamal
nahi kamal yeh hai k hum sahee treeqon se is rah mei logo k kam aayen aur yeh
usi waqt mumkin hai k jab ham k jab ham ne un farayez-o-wajibat ko aeham samajh
liya ho jo is raste k aeham sutoon hen aur jin per amal kiay beghair "amil
kamil" ban'na qatan na mumkin hai.
Amil k farayez:
1- rizqe halal khane ka
paband ho aadi ho aur haram cheezon se usay nafrat ho.
2- sach bolna is ka
mizaj ho jhoot bolne se usay nafrat ho.
3- taharat zahiri se
behra'wer ho hamesha ba'wuzu rehne ki aadat ho.
4- taharat batini se bhi
behra'wer ho us k khayalat pakeezah hon neyyat uski saf suthri ho dil mei
khidmat-e-khalq ka jazba ho.
5- allah ki sari
makhlooq se mohabbat karne ka mizaj ho kisi aik maslak ka bhoot us per sawar na
ho bila tafreeq mazhab-o-millat logo ki khidmat k liay har waqt kamar basta ho.
6- lab-o-lehja naram ho
makhlooq k dard ko apne dil mei mehsoos karne ki salahiyyat ho mareezon se
mohabbat karne ka mizaj ho.
7- allah per eman kamil
ho aur aur yeh yaqeen dil mei ho k taveezat ki hessiyat tadbeer ki hai aur
fann-e-amliyat ki hessiyat husn-e-tadbeer ka darja rakhti hai lekin hukme khuda
wandi aur izn-e-khuda wandi k beghair kisi bhi muqaddas kamyabi ka imkan nahi.
8- amil ko kamyabi ki
nisbat allah ki taraf karni chahiay aur nakami ki surat mei yeh samajhna
chahiay k is se koye kotahe ho gaye ho ge warna akabireen k tajarbat barhaq hen.
9- khaloos-e-lillahiyyat
se puri tarah sarshar ho.
10- amil k liay zaroori
hai k woh jab bhi kisi amal ki shuru'at kare to durood sharif se shuru kare han
al'batta manfi kamon mei durood sharif na parrhe.
11- jin ayyam ya sa'aton
mei amal kary unki sa'adat wa nahoosat ko pesh-e-nazar rakh kar amal k mawafiq
parhez jalali wa jamali kary aur sitaron k mutabiq bakhoorat ka ehtamam kary
khane peene ki cheezon mei khas tor se achi buri taseer hoti hai is liay khane
peenay mei achi tarah se ehteyat kare aur zuban ko la'yani guftagoo se mehfooz
rakhe.
12- amil ko chahiay k
musbat naqsooh likhtay waqt badboo'dar cheezon se bache aur manfi naqoosh
likhty waqt is tarah ki cheezon ka istemal rakhe.
13- kisi bhi amal ko
qaboo karne k liay jagah aur waqt ki pabandi karna zaroori hai jagah ya waqt ki
tabdeeli se amal ki taseer wa quwwat mei kami peda ho jati hai.
14- kisi bhi amal ko
qaboo mei karne k bad is amal ko kisi na kisi miqdar mei rozana parrhna zaroori
hai ta k amal qaboo mei rahe.
15- amal k liay kisi
rehnuma ki rehnumaye zaroori hai aur jis ko amil apna rehnuma ya ustad tasleem
karta ho us k hukam ki theek theek tameel karna zaroori hai.
16- be wuzu na koye amal
karen na koye naqsh likhen bil'khsoos woh naqoosh jo aayt-e-qurani per
mushtamil hon un k likhne se pehle wuzu karna zaroori hai.
17- amil ko chahiay woh
apne likhay hoye naqoosh per khud bhi yaqeen kamil rakhta ho aur yeh samajhta
ho k is k naqoosh ilmi aur fikri etbar se aik achi tadbeer ki hessiyat rakhty
hen aur in k istemal se zaroorat mandon ko apne maqasid mei be'iznillah
yaqeenan kamyabi mil sakti hai.
18-amil ko chahiay woh
jis aayt qurani ya ism ka naqsh likhe naqsh likhne k bad us aayat ya us ism ko
kam se kam aik martaba parrh kar naqsh per dam kar de ya phir aayat aur ism
ilahe k mufrad adad k barabar parrh kar dam kar de , maslan agar woh
ya''basitu'' ka naqsh likhe to 9 martaba ya basitu ko parrh kar
naqsh per dam kary.
19- aayat qurani aur
isme ilahe k adaad durust nikale is mei agar khata ho gaye to naqsh durust nai
bane ga aur jab naqsh durust nahi bane ga to taseer zahir nahi ho ge.
Chilla kashi:
Koye bhi amil chilla
kashi k beghair amliyat mei kamyab nahi ho sakta aik chilla amoome tor per sirf 40
din ka hota hai aur 40 din lagatar aik amal karne se us mei taseer peda ho jati
hai 40 din k bad us amal k anwar-o-asaar amil ki zuban wa qalb per jari ho
jatay hen ba'shart k doran-e-chilla amil se kisi tarah ki koye kotahe sarzad na
hoye ho.
Chilla kashi ki sharayet:
Chilla kashi ki sharayet
yeh hen,
1- kisi mustanad amil
kamil ki rehnumaye mei chille ki shuruwat kare apni aqal-o-feham ko imam banany
ki ghalti na kare jis amil se rehnumaye hasil kare us ki hadayat ko
pesh-e-nazar rakh kar amal shuru kare sabar-o-zabt se chilla pura kare jald
bazi k muzahirah na kare na kisi be'sabari ka muzahirah kare hathle per sarson
jamany ki ghalti na kary apne waqt per khud asrat zahir hotay hen aur
waqt-e-muayyana se qabal kuch zahir nahi hota is liay sabar-o-zabt nehayat
zaroori hai.
2- amil k liay
rizq-e-halal behad zaroori hai keon k agar pet mei haram rozi jati hai to phir
dua qabool nahi hoti aur amal mei taseer bhi peda nahi hoti "roohani
amliyat" mei halal rizq hona bunyadi shart hai agar koye amil danista aik
luqma haram khata hai to 40 din tak uski ebadat bhi qabool nahi hoti dua kya
qabool ho ge amil ko yaqeen rakhna chaiay k jo iski taqdeer mei rozi likhi hai
woh us ko mil kar rahe ge is liay logo k samnay hath phelana bhi amil k liay
acha nahi hai jo hath bar bar logo k samnay phelta hai is hath ki taseerat fana
ho jati hen is liay amil ko chahiay k woh bar bar k mutalbe se khud ko mehfooz
rakhe aur bohat he hikmat-e-amali , adaye beneyazi wa khuddari se is layen mei
apna safar jari rakhe jo log allah k bandon k sath loot mar wala rah ekhteyar
kartay hen woh kisi bhi halat mei "khadim" kehlane k haqdar nahi hen.
3- doran-e-chilla aise
ghizaon se door rehna chaiay jo susti ka bayes banti hon is liay tark-e-hewanat
mei gosht wagairah ki pabandi aayed ki jati hai keon k gosht khori se
neend ka ghalba rehta hai doran-e-chilla behter to yeh hai amil zindagi baqi
rakhne k liay mamool darje ki khorak le pet bhar k khana munasib nahi.
4- agar doran-e-chilla
aksar roza se rahe to afzal hai.
5- chilla kashi k liay
kisi aise jagah ka intekhab karna chahiay jahan makhlooq ka guzar na ho aur
amil ko yaksooye ki jagah beth kar amal karna chahiay aaj kal chilla kashi k
liay munasib jagah naseeb nahi hoti keon k aabadiyan bohat barrh gaye hen aur
shehron mei makan bohat chotay hen in makano mei yaksooye hasil nahi hoti agar
amil kisi aise jagah amal kar raha hai jahan t.v ki redio ki ya kisi bhi tarah
k gaane bajane ki ya logo ki guftagu ki aawaz aa rahe ho to wahan amal mei
kamyabi milna na'mumkin hai aaj kal masajid k kamray bhi shor-o-ghul se mehfooz
nahi hen is liay amal k liay koye aise jagah talash karni chahiay khawah is k
liay kaheen weerane mei jana parray jo bilkul alag thalag ho aur har tarah ki
awazon se woh mehfooz ho.
6- doran-e-chilla amil
ko chahiay apni zuban ki hifazat rakhay jhoot,gheebat,ilzam tarashi
kalmat-e-dil shikni wagherah se apni zuban ko puri tarah mefooz rakhe warna
amal ki taseer zahir nahi ho ge.
7- amal shuru karne se
pehle kuch na kuch sadqa kar dena zaroori hai agar har roz sadqa karta rahe to
aur bhi acha hai.
8- parhez doran-e-amal
zaroori hen aur badboo dar cheezen jese kacha peyaz , kachi lehsan waghairah k
istemal se door rahe.
9- agar ghusal karne mei
koye pareshani na ho to rozana tazah ghusal kar k amil apna amal shuru kare
warna wuzu k sath amal shuru kare agar amal se pehle 2 nafal parrh le to afzal
hai.
10- doran-e-amal
bakhoorat zaroori hen agar sitaron k mutabiq hon to behter hai.
11- doran-e-chilla kashi
amil ko chahiay makhlooq se zeyadah na mila jula kare kam umar larrko aur orato
se khud ko door rakhe neez duniyadar qisam k logo se bilkul na mile warna is k
amal per in cheezon ka asar parray ga aur amal zaya ho jaye ga.
12- amal qibla rukh beth
kar kare aur do'zano jis tarah namaz mei tash'hud mei bethtay hen us tarah
bethay aur amal ki neyyat kare aur yeh bhi neyyat kare k yeh amal mei rozana
itni tadad mei aur itnay dino mei mukammal karon ga agar amal ba moakel hai to
pehle roz qibla ru bethay us k bad rijal-ul-ghaib ka lehaz rakhtay hoye rozana
apna rukh badalta rahe.
13- agar amal aik chilla
mei kamyabi na ho to dobara us amal ko kare aur hargiz hargiz mayoos na ho
yaqeen rakhe k akabireen ne jo tajarbat kitabon mei likhay hen 100%
durust hen in mei kisi bhi tarah ki nakami apni kisi na kisi kami ya
kotahe ka nateeja hai aik amal ko nakam honay k bad phir dobara kare dobara bhi
nakami ho to teesri bar kare in'shaAllah teesri bar zaroor kamyabi hoge.
14- har amal k shuru mei
11 bar durood sharif parrhe is tarah amal k khatam per bhi rozana 11 bar durood
sharif parrhe durood sharif parrhne se amal mei noraniyat peda hoti hai aur
durood pak ki barkat se duaaen aur aamal bargah khuda'wandi mei maqbool ho jaty
hen is liay durood ka ehtemam rozana amil ko karna chaiay.
15- jin amliyat mei
beghiar sila howa kaprra pehana ho un beghair sila howa kaprra pehne yani ehram
bandhe lekin amal k doran he ehram bandhna chaiay 24 ghantay ehram
mei rehne ki zaroorat nahi jin amliyat mei beghair sila kaprra pehnany ki shart
nahi hoti un mei koye sa bhi libas pehan len lekin sufed rang k libas ko
tarjeeh den aur amal k doran jo libas pehney amal k bad usay utar den lekin
rozana us libas ko dhone ka ehtemam karen agar amil apna libas apne hatho se khud
dhoye to rohaniyat amliyat k liay behter hai.
16- amil apne khane
peenay aur khana pakany k barten alag rakhe.
17- amal hamesha
no'chandi jumerat se shuru kare ba'shart k qamar dar aqrab na ho qamar dar
aqrab ho to agle mah ka intezar karen.
18- no'chandi jumerat us
jumerat ko kehtay hen jo chand ki 3 tareekh k bad aaye pehli jumerat aur
no'chandi jumerat mei farq hota hai chand ki pehli, dosri ya teesri tareekh ko
jo jumerat aaye ge us ko pehli jumerat kahen ge aur jo chand ki 3 tareekh k bad
14 tareekh se pehle jumerat aaye ge us ko no'chandi jumerat kahen ge isi
tarah no'chandi itwar waghairah ko qeyas karen.
19- agar koye waeefa
waqt muqarrar per na parrha ja sakay kisi shdeed majboori ki waja se to us
wazeefa ko namaz-e-fajar k bad se namaz-e-zohar tak parrh le ta k naagha na ho
lekin bohat he shadeed majboori mei is reyat se fayedah uthaye khawamakha amal
ko qaza na kary aik chilla mei agar 4 martaba se zayed amal waqt-e-muqarrarah
per na parrha jaye to phir woh be'asar ho jata hai.
20- doran-e-chilla amil
ko chahiay k aajizi aur inkasari ko malhooz rakhe larraye jhgarra, behas
mubahisa aur la yani baton se khud ko door rakhe keon k yeh baten amal per asar
andaz hoti hen aur is k sath amil apne amal ko hatta'al'amkan posheedah rakhe
is ka parchar na kare.
21- amil k liay yeh bhi
zaroori hai k jin zaraye ya jin shkhsiyat se isko rehnumaye amal muyassar aaye
ho umar bhar un zaraye aur un shakhsiyat ki qadar kare aur dil se un ka ehtaram
kare.
22- zikr-e-elahi k sath
fikr aur ghour-o-ghoz se bhi amil ko wabasta rehna chaiay.
23- amil ko chahiay woh
har hal mei har surat mei yeh yaqeen rakhe k khda wadahu la shareek k izn k
beghair is duniya mei kuch nahi hota , jo amil yeh samajhta hai ya bawer
karata hai woh chutki bajatay hoay khud logo ki taqdeer badal deta hai to woh
amil nahi woh shetan hai.
24- amil ko chahiay
allah k sab bandon se bila tafreeq mazhab-o-millat aur bila tafreeq
maslak mohabbat kary aur unki khidmat k liay khud ko waqf kar de.
25- amil k liay yeh bhi
zaroori hai k rozana aamdani mei se kuch na kuch kherat karta rahe aur zakat wa
sadqat mei hargiz hargiz kotahe na kary in k elawah acha amil har khoobi ko
ekhteyar karta hai aur har kharabi aur buraye se apna daman bachata hai sharyeat ka paband hota hey isi mei
us ki aafiyyat hai aur isi mei us ki azmat hai.
Aakhri bat yeh hai k aik
achay amil ki neyyat aayenay ki tarah saf hoti hai jin aamileen ki neyyat
kharab ho ya jin ka maqsad sirf dolat sametna ho woh is duniya mei mumkin hai
kamyab ho jayen lekin aakhirat mei khasare mei rahen ge soch-o-fikar ki apni
nazar ki apne ustadon ki puri tarah hifazat karen aur shetano ki chalon se
ghafil na rahen.
Amil k liay mazeed hadayat:
Roohani amliyat k medan
mei qadam rakhne wale hazrat ko jin bunyadi maloomat ki zaroorat hai woh yeh
hen.
1- ilm-e-abjad se itni
waqfiyyat ho k asma-e-ilahe , aayat-e-qurani, asma-e-muhammadi aur insano k
namo k adaad ba'khoobi nikal sakta ho.
2- majmooye adaad,
murakkab adaad aur mufrad adaad nikalne ki maharat ho.
3- haroof-e-qamri aur
haroof-e-shamsi azbar hon aur un k adaad bhi azbar hon.
4- abjad-e-qamri mei
'ghayeen'' k adaad aik hazar 1000 hotay hen aur abjad-e-shamsi mei 'yaa'' k
adaad aik hazar 1000 hotay hen.
5- is k elawah kul
abjaden 28 hen un sab abjadon se aik amil ko waqif hona chahiay aur un k adaad
se bhi amil ko waqif hona chahiay.
6- mahireen-e-jafar ne
moakel banany k mutadid tareeqay daryaft kiay hen amil ko moakel banany k
tareeqon se ba'khoobi waqfiyyat honi chaiay.
7- azeematen bhi
akabireen se manqool lekin amil k ander itni salahiyyat hone chahiay k woh
hasb-e-zaroorat azeemat khud tayar kar sake.
8- isi tarah awan,
khaleefa, jin, waghirah banany ki tarkeeb buzurgon se manqool hen amil k
ander yeh salahiyat honi chahiay k woh asma-e-elahi k mukhtalif aayat-e-qurani k
aur mukhtalif kalmat k moakel, awan, khaleefa, aur jin akhaz kar le aur phir
hasb-e-qayedah un se roohani imdad jayez maqasid mei hasil kary.
9- amil ko sadqat ,
zakat bakhoorat waghirah se mukammal waqfiyyat honi chaiay.
10- amil ko
anasir-e-arba aur hawas-e-khamsa aur ilm e rijal'ul ghaib se waqfiyyat hona
zaroori hai.
11- amil k liay zaroori
hai k woh ilm-e-adaad , ilm-e-najoom, aur ilm-e-sa'at se ba'khabar ho.
12- adad ki dosti
dushmani haroof k anasir aur sa'at k sad-o-nehas k bare mei zaroori maloomat hon.
13- shrayet-e-aamal aur
aoqat-e-amal mutaeyyan karne k tareeqon se waqif ho.
14- aayat-e-qurani k
zariay matlooba maqasid mei kamyabi hasil karne k zaraye aur tadabeer ki
maloomat rakhta ho.
15- aqayed pukhta hon,
allah ki wahdaniyyat per kamil yaqeen ho
Huzur nabi kareem
sal'allaho alehe wa sallam ki azmat-o-rifa'at k ehsas se qalb-o-nazar puri
tarah sarshar hon aur durood pak ki zaroorat wa aehmiyyat ka puri tarah andazah
rakhta ho.
16- zahiri wa batini
taharat ka hamil ho.
17- amil k liay behter
to yeh hai kitab allah ki ka hafiz ho warna amil k liay zaroori hai chand
surten sahee sahee talaffuz k sath yad kar le
Maslan, s.yaseen, s.rehman,
s.muzzammil, s.mulk, 4 qul sharif, aayat ul kursi, s.albaqara ki aakhri aayat
wagherah in sab k elawah allah ta'ala k 99 sifati name amil ko yad hon aur un k
adaad aur ma'ani bhi amil ko maloom hon.
18- amil k liay zaroori
hai usko naqsh bharne k tamam tareeqon se waqfiyyat ho aur amil doran-e-amal
nishist wa barkhast k asoolon say bhi puri tarah waqif ho.
19- amil ko mukhtalif
qisam k durood bhi yad hone chaiay keon k baz umoor mei baz durood bohat mufeed
aur moasser sabit hotay hen.
20- amil k liay yeh bhi
zaroori hai k woh insani namo k ma'ani se waqfiyyat rakhta ho aur un k adaad
nikalne ki bhi us mei bharpoor salahiyyat mojod ho.
21- har amil ko chaiay k woh s. Yaseen k ibtedaye
chillon se guzar chuka ho jo us ko rujjat aur inqalab-e-amal se mehfooz rakhtay
hen.
22- amil ko chahiay hisar bandhne aur is k tareeqon se waqif ho aur hisar qatbi ki is ne zakawt ada kar rakhi ho is k elavah amil ko hizb-ul-behar ki zakawt bhi adaa karni chaiay neez chehal kaf , aayat-e-qutab, aayat-e-hirs waghairah ki isko mukammal jankari ho is ne zakawt adaa kar rakhi ho.
23- ashab-e-kehaf k naam bhi roohani amliyat mei bohat aehmiyyat rakhaty hen amil ko chahiay inhen yad kar le aur in se bhi istefadah hasil kare.
Amil k liay mazeed wajibat:
* amil k liay yeh bat
bhi lazim hai k chilla kashi k doran woh apne bister per kisi aur ko na sonay
de aur na he woh kisi k bister per soye apne istemal k bartan waghairah ko bhi
kisi dosre ka hath na lagne de aur na he dosron k bartano ko istemal kare keon
k har insan ki apni zati zarooriyat hoti hen aur jab bhi koye insan kisi cheez
ko hath lagata hai to sirf isko choo lenay se bhi uski shakhsiyat ki khoobi us
chooye hoye shay mei peda ho jati hai is liay mahireen ne is bat ki sakht
takeed ki hai k doran-e-amal na kisi ka istemal shudah saman khud istemal kare
aur na he apna saman kisi dosre ko istemal karne de.
* chille k doran har
amil k liay zaroori hai k woh zahiri aur batini dono tarah ki taharaton ka
khayal rakhe jhoot,gheebat,bad'nazri waghairah se khud ko mehfooz rakhe ta k
batini taharat se mala mal rahe aur zahiri taharat ka bhi har lamha ehtemam
kare maslan har waqt ba'wuzu rahe aur bila nagha ghusal kare agar mumkin ho to
doran-e-chilla rozay se rahe warna har teesre din roza rakhe yeh bhi agar
kamzori ki wajah se mumkin na ho to har peer aur jumerat ka roza rakhe aur amal
k pehle aur aakhri din ghusal kare.
* doran-e-amal agar
rozana ehrami libas pehne to is se amal ki quwwat mei izafa ho jata hai libas
jo bhi ho khushboo se moatter ho koshish kare k doran-e-amal sufed libas pehne
sufed libas har qisam k amal k liay behter sabit hota hai warna phir apni
taqdeer k sitare ka jo rang ho us ki munasibat se libas zeb'tan kare.
* amliyat mei qadam
rakhne se qabal yeh bat zehan ki gehraye mei utar leni chahiay k jis tarah
doctor aur tabeeb ban'nay k liay aik khas muddat tak taleem-o-tarbeyyat k
mukhtalif marahil se guzarna parrta hai bilkul isi tarah amil kamil ban'nay k
liay mehnat-o-mushaqqat aur ilm-o-amal ki kaye manzilen tay karni parrti hen
warna kuch hath nahi lagta aur kabhi kabhi fayedah hone ki bajaye zabardast
nuqsan ho jata hai aaj gali dar gali jo log dhoni rachaye bethay hen yeh amil
nahi hen mehaz pesha karne wale aur aik muqaddas fann ko badnam karne wale log
hen jinho ne 2, 4 kitabe parrh kar apni dukan saja li aise log khuda ki seedhe
sadi makhlooq ko ullu banany mei masroof hen.
* agar aap fil'haqeeqat
amil ban'na chahtay hen to phir aap mehnat aur reyazat k liay tayar rahen keon
k is k beghair amliyat ka medan fatah nahi hota aur jo reyazat aur taqway
se jan churata ho is ko is medan mei qadam nahi rakhna chahiay keon k is medan
ka haq un logo k liay makhsoos hai jo mehnat aur ebadat k aadi hon.
Yeh bat yad rakhen,
1- amliyat aur naqoosh
ko kitabon se joon ka toon naqal kar dena kar'aamad nahi ho sakta jab tak
ba'qayedah har amal aur naqsh ki zakawt adaa na kar di gaye ho agar zakawt k
beghair kisi amal ya naqsh mei taseer peda ho gaye to yeh ittefaqi bat hai aur
kisi ittefaqi kamyabi ko apna kamal samajh lena nadani ki bat hai.
2- koye bhi wazeefa
parrhne ya amliyat ki zakawt adaa karne ki shuruwat karne se pehle un tamam
sharayet wa qayood ko pesh-e-nazar rakhna chaiay jo har amail k liay zaroori
hen , maslan taharat ka ehtamam , ebadat ka eltezam, khidmat-e-khlaq ki
pabandi, sach bolne ki aadat, halal rozi hasil karne ki fikar, neyyat ki safaye
aur khuda ki kul makhlooq se mohabbat karne ka jazba waghairah, in osaf k
beghair amil ban'na namumkin hai.
3- kisi bhi amil ko koye
amal kisi ko nuqsan pohanchane k liay nahi karna chaiay warna roohani tor per
fayedah ki bajaye nuqsan ho ga mua'alij sirf zindgi bachane ka kam karta hai
kisi ki zindgi cheen'nay ki koshish jab k yeh mumkin bhi nahi mua'alij ka kam
nahi manfi amal karne wale aamileen ki deen-o-duniya barbad ho jati hai warna
in ka kiya howa inki olad k samne aata hai.
4- amliyat shuru karne
se qabal un tamam tafseelat se ba'khabar hona chaiay jin ki jankari har amil k
liay zaroori hai maslan sitaron ki tafseelat , sa'aton ki jankari aur
ilm-e-najoom ki is had tak maloomat jis had tak ilm-e-najoom hasil karna
shar'an jayez hai aur agar sa'aton k saeed aur ghair saeed hone ki maloomat
waghairah nahi ho ge to amil ko jagah jagah dushwariyan pesh aayen
ge aur phir woh idhar udhar bhatakne per majboor ho ga.
5- afzal to yeh hai k
amil ban'nay ka shoq rakhne wale hazrat hafiz-e-quran hon lekin agar
hafiz-e-quran na hon to unhe
s.yaseen,s.muzzammil,s.jinn,s.fatah.s.saffat,s.rehman zaroor yad hone chahiay
aur quran pak dekh kar sahee talaffuz k musalsal parrhne ki mashq hone
chahiay.
6- is medan mei qadam
rakhne wale ko yeh bhi maloom hona chaiay k us ka sitara konsa hai uska mizaj
kiya hai ? Aasani k liay hum yahan apna sitara maloom karne ka tareeqa
pesh kar rahe hen,
* jo shakhs angrezi mah
ki 1,10,19,28 ko peda hoga us ka sitara shams ho ga.
* jo shakhs angrezi mah
ki 2,11,20,29 ko peda hoga us ka sitara qamar ho ga.
* jo shakhs angrezi mah
ki 3,12,21,30 ko peda hoga us ka sitara mushtari ho ga.
* jo shakhs angrezi mah
ki 4,13,22,30 ko peda hoga us ka sitara shams ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 5,14,23 ko peda hoga us ka sitara atarad ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 5,14,23 ko peda hoga us ka sitara atarad ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 6,15,24 ko peda hoga us ka sitara zohra ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 7,16,25 ko peda hoga us ka sitara qamar ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 8,17,26 ko peda hoga us ka sitara zohal ho ga.
* jo shakhs angrezi mah ki 9,18,27 ko peda hoga us ka sitara mareekh ho ga.
*agar bila ittefaq kisi ko maloom na ho k woh kis din peda howa hai to phir woh kya kare? Phir use chaiay k woh apni aur apni man k naam k adaad ko jama kar k 7 se taqseem kare agar taqseem k bad 1 baqi rahe to amil ka sitarah qamar hai.
* agar taqseem k bad 2 baqi rahe to amil ka sitara atarad hai.
* agar taqseem k bad 3 baqi rahe to amil ka sitarah zohra hai.
* agar taqseem k bad 4 baqi rahe to amil ka sitarah shams hai.
* agar taqseem k bad 5 baqi rahe to amil ka sitarah marreekh hai.
* agar taqseem k bad 6 baqi rahe to amil ka sitarah mushtari hai.
* agar taqseem k bad 0 baqi rahe to amil ka sitarah zohal hai.
* is tareeqa se apna
mizaj bhi maloom kar sakta hai mizaj maloom karne k liy apne aur apni man k
naam k adaad ko 4 se taqseem k bad agar 1 baqi rahe to mizaj
''aatishi'' hai, agar 2 baqi rahe to mizaj ''baadi'' hai ,
agar 3 baqi rahe to mizaj ''aabi'' hai , aur agar 0 baqi rahe to
mizaj ''khaki'' hai, is tarah har shkhs bohat he sahoolat k sath
apna sitara aur apne mizaj ka unsar maloom kar sakta hai in dono baton ka
maloom kar lena har us shkhs k liay zaroori hai jo amliyat k medan mei
ba'qayedah qadam rakhne ka iradah rakhta ho.
Aik asan tareeqa yeh bhi hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------
* jin hazrat ka burj
hamal ho un k liay har qamri mah ki 2,6,11,29, aur 30 tareekhen ghair mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
joza ho to un liay har qamri mah ki 13,14,17,28 aur 30 tareekhen gher mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
asad ho to un k liay har qamri mah ki 6,12,16,21, aur 25 tareekhen gher
mubarajk hen.
* jin hazrat ka burj
meezan ho un kliay har qamri mah ki 22,23,25,28 tareekhen gher mubarak hen.
* jin hazrat ka burj
qoas ho to un kliay har qamri mah ki 3,4,9,25 tareekhen gher mubarak hen.
* jin hazrat k burj dilo
ho to un k liay har qamri mah ki 2,12,17,23,25 tareekhen gher mubarak hen.
* jin hazrat ka burj
soar hai to un k liay har qamri mah ki 4,9,24,25,28 tareekhen gher mubarak hen.
* jin hazrat ka burj
sartan ho to un k liay har qamri mah ki 2,8,13,18,28,25 tareekhen gher mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
sunbla ho to un k liay har qamri mah ki 6,12,17,25 tareekhen gher mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
aqrab ho to un k liay har qamri mah ki 4,9,13,15,21,28 tareekhen gher mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
jadi hai to un k liay har qamri mah ki 13,14,29 tareekhen gher mubarak
hen.
* jin hazrat ka burj
hoat ho un k liay har qamri mah ki 13,14,29 tareekhen gher mubarak hen.
* in tareekhon mei kisi
chilla ya wazeefa ki shuruwat na karen warna paaya-e-takmeel ko na pohanchay ga
ya be'asar rahe ga youn har na'mumkin cheez per bhi allah qadir hai lekin asbab
ki is duniya mei jis tarah zehar aur bandooq ki goli se mohtat rehne ki koshish
ki jati hai aur jan boojh kar jis tarah koye kooyen mei chalang lagaye ya
meenar se chalang lagane mei jan ka khatra mehsoos karta hai usi tarah
roohani amliyat k medan mei rah tay kartay hoay mazkoora bala tareekhon mei
amal ki ibtedakarne se khud ko mehfooz rakhna bad aqeedgi nahi ehteyat aur
door'andeshi hai yeh samajhna k tamam din aur tareekhen mubarak hen aur gher
mubarak koye din aur koye tareekh nahi hai taqwa nahi bal k bewaqoofi hai
beshak jo zat khliq-e-khair hai wohe zat khaliq-e-shar bhi hai jis ne mubarak
cheezon ko peda kiya hai us ne gher mubarak cheezon ko bhi peda kiya hai
andhere, ujalay, gham, khushi aur har achi buri cheez ka khaliq aik allah
wahdahu la shareek he hai aur yehe toheed ki meraj hai k hum har cheez ka
khaliq sirf zat-e-wahid ko maney.
Is puri duniya ka nizam
achi buri sa'aton aur sitaron per munhasir hai bohat se gharriyan mubarak hen
yehe maqbooliyat ki gharriyan hen aur bohat see gharriyan gher mubarak hen yeh
adam maqbooliyat ki gharriyan hen had yeh hai k baz gharriyan aise bhi hen k in
mei khuda ko sajdah karna bhi jayez nahi hai jab k din rat mei baz gharriyan
aisee bhi hen bil'khasoos aakhri shab ki sa'aten k un mei hath uthtay he dua
qabool ho jati hai jab yeh tamam baten aqeedatan durust hen to phir gher
mubarak sa'aton se amliyat ki shuruwat mei ehteyat baratna haram qarar nahi paa
sakta.
Beshumar log nadani mei
ya na'waqfiyyat mei amliyat mei achi buri sa'aton ka lehaz nahi kar patay aur
nakam ho jatay hen aur bil'aakhir roohani amliyat se bad'zan ho jatay hen hum
in sa'aton ki wazahat is liay kar rahe hen ta k is rah per chalne wale tulaba
ki mehnat zaya na jaye youn allah ta'ala qadir mutlaq aur mukhtar-e-kull hai
aur woh apne banaye hoay qawaneeen ka bhi paband nahi hai woh chahe to mubarak
aur saeed sa'aton mei bhi bijliyan koond sakti hen aur woh chahe to na'mubarak
aur manhoos gharriyon mei bhi rehmaten baras sakti hen is rah mei qadam rakhne
se pehle andazah kar len k aap ka burj kon sa hai.
* woh tamam hazrat burj
hamal k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 21 march se 20 april k
darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
soar k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 21 april se 21 may k darmiyan
hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
joza k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 22 may se 21 june k
darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
sartan k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 24 june se 23 july k
darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
asad k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 24 july se 23 august k
darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
sunbla k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 24 august se 23 september ko
hoye ho.
* woh tamam hazrat burj
meezan k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 24 september se 23 october k
darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj aqrab k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 24 october se 22 november k darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj qoas k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 23 november se 22 december k darmiyan hoye ho.
* woh tamam hazrat burj jadi k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 23 december se 20 january hoye ho.
* woh tamam hazrat burj dilo k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 21 january se 19 february hoye ho.
* woh tamam hazrat burj hoat k zer-e-asar manay jayen ge jin ki pedayesh 20 february se 20 march k darmiyan hoye ho.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------
* amil amal k doran
qibla rukh bethay aur is tarah bethay jis tarah nemaz mei bethta hai.
* amal k doran afzal hai
k pehlu bhi na badle pura amal aik he pehlu per parrh le yani shuru se aakhir
tak aik he andaz beghair harkat k betha rahe lekin agar amal lamba ho to pehlu
badalnay mei koye harj nahi han yeh yad rahe k nishist ki ibteda aur inteha
nemaz ki tarah bethne wali he ho darmiyan mei kisi aur tarah bhi betha ja sakta
hai lambe amal se murad jis mei nisf ghantay se zayed waqt lage.
* amal shuru
kartay waqt yeh neyyat karna k falan maqsad k liay amal kar raha houn aur aaj
itni bar parrho ga be'had zaroori hai beghair neyyat k amal moasser nahi
hota.
* behter yeh hai k har
roz amal se pehle 2 rakat nafal ba'neyyat ''salat-ul-haja'' parrhe aur jo amal
kar raha hai us ki kamyabi k liay dua'a kare phir apna amal shuru kare is tarah
''in'shaallah amal ki kamyabi k amkanat roshan ho jayen ge.
* doran-e-amal apne gird
mazboot hisar zaroor kar le, hisar karne k kaye tareeqay hen qurani hisar
sab se moasser aur afzal hai.
* amal k doran
bohat se khofzada manazir samnay aayen ge magar unki haqeeqat kuch nahi woh
mehaz amil ko khofzada karny k liay hon ge ta k amil khofzada ho kar apna amal
parrhna tark kar de aise surat mei khud ko qaboo rkhiay aur hisar se na uthe
aur amal musalsal parrhtay rahe
* baz oqat kisi amal ki
taseer aik chilla mei zahir nahi hoti agar aisa ho to mayoos na ho amal jari
rakhay aur dosra chilla karay aamileen ne farmaya hai dosra chilla kam se kam
10 din bad ya phir aik mah bad shuru kare nakami k foran bad he dosra chilla
shuru na kare.
* mayoosi kufar hai
momen kabhi mayoos nahi hota amliyat ka qilla sar karne k liay zaroori hai k
tamam halat mei khawah bazahir kitnay he mayoos kun halat hon aas ka daman na
chorray allah per bharosa rakhay aur cheyunti se ebrat hasil kartay hoye apni
dhun mei laga rahe aur yaqeen rakhe aik din woh ba'fazal rab kamyab ho ga agar
pehle chilla mei kamyabi nahi hoti to dosray ya teesray chilla mei zaroor
kamyabi ho ge.
* har amal se pehle taaq
tadad mei durood sharif parrhna zaroori hai , har amal se mutalliq alag alag
durood sharif hen agar woh muyasser na hon to durood-e-ibraheemi he kafi
hai.
* apnay khanay peeny k
bartan khud dhoye aur inhe kisi ko bil'khasoos aurat ko hath na laganay
de.
* agar kisi khadim ka
tawwun zaroori ho to khadim namazi aur parhez'gar ho.
* amal k liay aik he
jagah rahay aur waqt bhi aik he rahe dono cheezon mei tabdeeli na ho afzal
hai.
* amal no'chandi jumerat
se shuru kare to behter hai aur no'chandi jumerat aise jumerat ko kehtay hen jo
chand ki 4 tareekh ya us k bad aaye agar pehli ya dosri tareeh ko jumerat ko
parrhen ge to us ko no'chandi nahi maney ge.
* wazeefa aur amal bila
nagha parrhna chaiay agar kisi majboori ya sharye uzr ki bina per na k susti
aur kaheli ki waja se wazeefa tark kar diya geya to aglay din zohar k bad parrh
le lekin tark karnay ko aadat na banaye yani aksar tark na karay warna amal aur
wazeefay ki taseer khatam ho jaye ge.
* har amal aur naqsh ki
zakawt adaa karna zaroori hai , zakawt adaa karne k bad us amal ko rozana 3, 7,
ya 11 bar parrhna zaroori hai ta k amal qaboo mei rahe.
* amal ki ijazat
sahib-e-amal se lena zaroori hai warna is k karne se nuqsan ka andesha
hai.
* jis zamana mei amal
parrhe peyaz wagherah se ijtenab kare doran-e-amal agar moun se badboo aaye to
moakeleen ko takleef pohanchae ge aur woh imdad karne ki bajaye dua karen ge is
liay badboo se bachae aur khushboo'dar rahe.
Baqi har amal k sath
apni sharayet makhsoos hoti hen unka khayal rakha jaye jis amal k sath jo
shart rakhe gaye hai us ko pura kare us mei apni taraf se izafa ya kam na kare
bal k har shart per pura pura amal kiya jaye.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------------
---------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------
-----------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment